Sultan Abdulhamid II

Aaj k din, 21 September 1842 ko Osmania Saltanat k 34th Sultan, Sultan Abdulhamid II peda howy thy. Abdulhamid k walid ka naam Sultan Abdulmecid tha. Sultan Abdulhamid Mazhabi, Mehrban aur Kushada Dil thy. Aap ne 1 aam insan ki tarah Zindagi guzari. Greece muhm k doran unhy btaya jaata hay k Muhm k liye darkar pesy kam hain. To unho ny us Muhm k liye apni zati dolat kharach ki. Aap 1 shandar Barhai (Carpenter) bhi thy. Aap Herat Angez Furniture tayyar karty aur phir usy bech dety, jis se Ghareeb Logo'n ko pesy diye jaaty thy.

#Abdulhamid #sultanabdulhamid #sultanabdülhamid #payitaht

Comments

Be the first to add a comment