21 September 1840, Aaj k Din Osmania Saltanat k 33rd Sultan, Murad V peda howy thy.
Sultan Murad V 21 September 1840 ko Istanbul mein peda howy. Aap k walid ka naam Sultan Abdulmecid aur walida ka naam Sevk-Efza tha wo k Caucasian theen.
Sultan Abdulaziz ki Aaini Hakumat, Midhat Pasha ki sarbarahi mein wuzra k 1 group ki taraf se mazool hony par Sultan Murad V ko takht par laya gaya. Naya Sultan nayi Aaini Islahat mutarif karwany ka azm rakhta tha lekin Abdulaziz ki Khudkushi aur kuch ehm wuzra k qatal k asraat k bais Sultan Murad V ko zehni dabao ka samna karna para.
Turkey aur Ger-Mulki doctors k ilaj k baad inki bemari ko la-ilaj karar de diya gaya. Sultan Murad V ko unhi afraad ny mazool kar diya jo unhy takht par laaye thy. Apny Bhai Sultan Abdulhamid Han II k dor-e-Hakumat (1876-1909) k doran, Aapko takht par dobara laany ki koshishe'n ki gain jo k nakam ho gain. Aur unho ny apni Zindagi k baqi saal Çiragan Mehal mein hi guzary.
Sultan Murad V ny 30 May se 31 August 1876 tak Hakumat ki.